1. Dai Mayri Gumrahi Ka
Dai mayri gumrahi ka sila roshni
Roshni roshni ay khuda roshni
Roshni bhaij paighumberoan kay khuda
Hum sai tera shuboan ki saza roshni
Tujh sai mil ker yeh mahsoos honai laga
Roshni sai hoo-ee ashna roshni
Raat aur bai nishaan munziloan ka safer
Ay mayri laghzigh-e pa dikha roshni
Aatish-e gul khili hai chamen der chamen
Mausum-e gul hai dil main khila roshni
Noor-e subha-e azal tujh sai mangoon tu kiya
Ho meray fikr o fun ko ata roshni
Raat qismat sai Tishna nai wo pee keh bus
Jaam mahtab tha mai-kada roshni
Qerya ba qerya koo ba koo hum nai talaash ker liya
Kargah-e hiyat main kho giya aadmi kahaan
Tera shabih asr-e no gul hain chiragh aa-gahi
Shaher-e siyah roaz main hujla-e roshni kahaan
2. Jahan-E Hast Main Gum Ho Giya Hoon La Ki Terha
Jahan-e hast main gum ho giya hoon la ki terha
Mayrai wajoodh ka alam hai mao-ra ki terha
Kiya gaya hai mujhai loh-e kainath pai naqsh
Main lafz lafz main hoon hurf-e bay nawa ki terha
Milay mujhai bhi tu akhir satoan ki lahed
Main doash waqt pai hoon lasha-e sada ki terha
Mayri fizaoan main qadmoan ki chaap hi goonjay
Sakoot-e zaat hai phaila howa chala ki terha
Kisi ki aah sai pigla na ashk hi sai baha
Main ursh-e zaat pay baitha raha khuda ki terha
Na door-e jam mayre naam hai na aaruz o lub
Main bazm-e zeesth main hoon dast na rasa ki terha
Mujhi sai tum ko milay ga suragh-e munzil-e shoaq
Howa hoon sabt main rahoan pay naqsh-e pa ki terha
Mayre liye bhi der-e mutjaat khil jaye
Qabool derd main hoon andaisha-e dua ki terha
Tamaam jabr hai Tishna ye qaidh-e rasm-e wajood
Guzer rahay hain shub o roaz ik saza ki terha
3. Thae kabhi qaafla-e sir-o saman main hum bhi
Thae kabhi qaafla-e sir-o saman main hum bhi
Raqs kertai hoaye a-aye thai chaman main hum bhi
Ye alug baat kisi pairh sai munsoob nahi
Berg-e awara sahi hain tu chaman main hum bhi
Hain fasiloan pai humarey bhi lahu kai chitain
Thae kabhi kashmakash-e dar o rasn main hum bhi
Hukam azadi-e guftar humain bhi deejiaye
Ik zabaan rakhtain hain zindaan-e dahen main hum bhi
Shaher-e na-qader shanasaan main hoaye hain bay-dil
Laal-e nayaab thae bazaar-e Yamen main hum bhi
Hum naib hi tairay khdokhaal kai qisay likhay
Motaber ho ga-aye aqleem-e sukhan main hum bhi
Raat ber likhtai rahai qos-e qazah ka mazmoon
Rung bertai rahai tasaw-wer-e baden main hum bhi
Hum ko bhi ishq ka dawa hai guloan sai Tishna
Chun di-aye ja-ain gay dewaar-e chamen main hum bhi
4. Ab Iasi Bazm Main Kaisai Khilay Zabaan Logo
Ab iasi bazm main kaisai khilay zabaan logo
Nazer ko azaan-e nezaraan nahi jahan logo
Qalam kiya mairay hatoan ko shub peristoan nai
Main likh raha tha charagoan ki daastan logo
Wo tairgi hai keh bajhnai lagi hai bina-ee
Charagh-e aw-wel shub hai dhowaan dhowaan logo
Main baat kerta raha khushboan kai lahjai main
Koi samajh na saka piyaar ki zabaan logo
Jaloos-e tergi shub idher sai guzeray ga
Sajjao apnai dereechoan main khakashaan logo
Tamaan sheher main jub guftagoo ka maosum hai
Hisar jabber main hai kiyoon mayri zabaan logo
5. Ho Ga-Ee Phool Sai Juda Roshni
Ho ga-ee phool sai juda roshni
Chund lamhoan ki thi hawa khushboo
Raat ko khowab kai jherokoan sai
Jhankti hai ik aashna khushboo
Chairh phir koi dil-nasheen naghma
Aoni awaaz ki suna khushboo
Toot-ta jar aha hai nasha-e shub
Apnay unfaas ki pila khushboo
Zulf kai saath khul rahi hai qaba
Ab man-naye gi rath-jaga khushboo
Mairay nazdeek sai guzertai ho-aye
Keh ga-ee apna mud-daa khushboo
Phool ki ho sukti na umer daraaz
Maangti rah ga-ee dua khushboo
Madh bheray nain sai koi Tishna
Aaj mujh ko pila giya khushboo
6. Her Tamasay Main Tera Tamasha Daikhon
Her Tamasay main tera tamasha daikhon
Chand daikhon keh tera chaand sa cahra daikhon
Shaaq guzray tera hungama e mahfil tujh sai
Main bhari bazm main ik din tujhay tunha daikhon
Baymisaali bhi teri ab tu girhaan hai dil per
Daikh ker tujh ko yeh khawahish hai keh tujh sa daikhon
Haan koi moaj e nafs, koi hawa ka jhoanka
Kiyon sir e qerya-e jaan shama ko julta daikhon
Daikh ker tujh ko yeh mahsoos kiya hay main nay
Khawaab main jaisay main khushboo ka hawaila daikhon
7. Mayri Her Aik Baat Suno Giyaan Dhiyaan Say
Mayri her aik baat suno giyaan dhiyaan say
Utray gi ab na koi kitaab aasmaan say
Pahna hai jub say main nai shishay ka pairahun
Dernay laga hoon rah ki her ik chataan say
Dasht e hiyaat main wo keri dhoop thi, keh bus
Chunta raha main piyaas kai kaantay zabaan say
Kum zerf hain yeh gahray samender ki woosetain
Budla hai kub hawaoon ka rukh baadbaan say
Tushkeek sai mila hai mujhay ders-e aagahi
Mujh ko yaqeen-e zaat howa hai gumaan say
Sonay ka thaal sir pey uthaaye hoaye thi shaam
Kunden loota raha tha koi asmaan say
Tareekiyoon pay zerb lagatey hoaye chalo
Niklay ga aik chaand bhi raatoan ki kaan say
Insaaf toaltay raho mizaan-e adel per
Jana tha jis ko wo tu giya apni jaan say
Kiya kiya na teer aaye hain yaro kay is teraf
Dernay laga hoon apni ghazal ki uthaan say
Tishna basa-eeyeh dil-e khana kharaab ko
Weeraniyaan bhi derti hain khali makaan say
8. Koi Sahib Nazer Nain Deedha wer Nahi
Koi sahib nazer nahi deedha wer nahi
Yeh sheher-e fun bhi ab erz-e hooner nahi
Kahaan main goom hoowa hoon kuch khaber nahi
Ghoobar-e agahi tuk humsafer nahi
Meri waar-fitgi peh hunsnay walo
Main kuch itna bhi khoodh say bay khaber nahi
Sakoon kay wastey gher chaahta hoon
Sakoonut kay liaye deewar o der nahi
Laga hai dil ko dherka rahzani ka
Kahaan loot jaye rakht-e jaan khaber nahi
Main hoon oos dasht ka tunha musafir
Jahan sooraj tu ho laikin shajer nahi
Hai ab bhi doasth sara sheher Tishna
Kahien wo meherbaan soorut mager nahi
9. Jungle Say Cherwahay Loat Kai Atay Hain
Jungle sai cherwahey loat kay atay hain
Shaam hooie lo hum bhi ghar ko jatay hain
Bajtain hain awara patoan kay ghughroo
Serd hawa kay jhoankay dhaiyaan batatain hain
Door ufaq main qatal howa hai sooraj ka
Laash uthanay chaand sitaray aatay hain
Neendh ki munzil kosoan door hai aankhoan say
Rahoan main sub khawab bikhertey jaatain hain
Bheeg chali hai raat yahan kon aye ga
Her aahut per kiyoan hum choank sai jatain hain
Shaam say hi dil ko dherka lug jata hai
Khawaboan kai undaishey uratain hain
Soach kai tunhaie main Tishna hunsta hoan
Kaisey kaisey loag mujhay sumjhatain hain
10. Tu Mayri Fiker ko Ahsaas ki khudaee day
Tu mayri fiker ko ahsaas ki khudaee dai
Ghum e kamal na dai runj e na-rasaee dai
Her aik lafz kai paiker main ho teri khusboo
Meri ghazal main tera her nafz sunaee dai
Likhoon jo herf mai o aftaab bun jaain
Sirya-e-khana ko itni tur oh-shanaee dai
Main terey wasf main herf-e-tamam likh jaoon
Tu apne lo-hey-qalm tuk mujhey rasaee dey
Main tujh ko chahoon tu aisa keh khud fana ho jaoon
Mera wajood tera aaiena dikhaie dey
Jo phool bun ke mahekta rahey khiyaloan main
Wo kerb-e ishq dey wo zakhem-e ashnayie dey
Main Roshni hoon andhairoan sey door rukh mujh ko
Taloo-e mehr-e derrukhshan ki khoosh adayie dey
Her ik nawak dashnaam per dua-en doon
Meyre Khuda mujhe osaaf-e Mustafa-ie dey
11. Reh Ker Samender Main Sameder se Juda hoon
Reh Ker Samender Main Sameder se Juda hoon
Qatra hoon mager zerf main deriya sey bara hoon
Hain arz-o-sama mayre hi bikhrey hoye tukrey
Aiena hoon aur dasht-e mashiyet se gira hoon
Pather se derao na mujhe sung nazha doh
Sheeshey ka baden ley key chatanoan pey khara hoon
Akser yeh hoya hey ke khiyaloan ke ufaq main
Main shaam ke sooraj ki terha doob giya hoon
Khul jaoon gai k uqada-e asaan ki terha main
Ah perahan-e neesth tera bund-e qaba hoon
Dam layney ki mohlat mujhe ah baad-e safer dey
Pat-tah hoon abhi shaakh ki bahoon se gira hoon
Zinda hoon keh jeeney ka mujhey hukam mila hai
Nakerda gunhoan ki saza kaat raha hoon
Aya na mayessir jinhain perahun-e tahreer
Oon lufzoan ki hasrat hoon tamana hoon dua hoon
Tishna meyri manzil ka pata hai na thikana
Main maoja-e derya hoon keh sahra ki howa hoon
12. Chala Tha Main Tu Shareek
Chala tha main tu shareek-e-safer na tha koi
Lahoo lahaan sir-e rah guzer na tha koi
Kissi aseer main daikhi na jurat-e perwaaz
Khuli fizahain thien bay baal-o per na tha koi
Mila na sheher-e hooner main bhi koi ahel-e hooner
Thi mayre haath main dastaar sir na tha koi
Nishaan-e jadaa-e manzil ki joostajoo thi mujhe
Theh rahber tu sabhi hum safer na tha koi
Wo zindagi thi khudaya keh dasht-e bey saya
Ghamoan ki dhoop kari thi shajer na tha koi
Oos anjuman main sabhi sirfarosh teh Tishna
Para jo waqt tu phir waar per na tha koi
13. Main Shoaq-e Rung Rung Hoon Khiyaal Ki Oomang Hoon
Main shoaq-e rung rung hoon khiyaal ki oomang hoon
Main subha ka piyaam hoon main shaam ki tarung hoon
Sipah-e khair-o sher hain saf ba saf mayrey wajood hain
Main razm-gah-e zindagi main kerbala ki jang hoon
Berhungi bhi choop gayie naqoosh bhi ubher gaye
Main zindagi key gism ki ajab qaba-e tang hoon
Bisaat-e roze-o shub pe lug rahi hain roz baziyaan
Main jeet ke bhi khoosh nahi main haar ke bhi dungh hoon
Na choop sakey gi qamat-e khiyaal ki berhungi
Yeh zahmet-e libaas kiyoon main zindahi ka nungh hoon
Hain rishta-e ana ki beeriyaan humare paoonh main
Charaagh-e shola sir hey tu main per jala patangh hoon
Dil-o nazer rafshaan hoaye her aik choat per
Tu zarb-e teesha-e sitam hey main fughan-e sung hoon
Kaheen tu chaoon zulf ki kahein tu saijh narm si
Main needh ka hoon rath-jaga main khawab-e shoakh rung hoon
Kamal dil-nawazian kamal dosth dariyaan
Kabhi wo phool phool hai kabhi main sung sung hoon
Nafs nafs meyri mahek nazer nazer mayri talab
Dahek uthey jo aarizoan peh dil ki oomang hoon
14. Ursa-e Husti Se Hum Nakamiyan Chuntey Rahey
Ursa-e Husti Se Hum Nakamiyan Chuntey Rahey
Roshni botey rahey tareekiyan chuntey rahey
Loag moti laaye gahrey paniyoan ki godh sey
Aur hum sahil pey baithey seepiyaan chuntey rahey
Zindagi bher masleyhat beeni raha apna mizaaj
Umer bher undaisha-e sodoo ziyaan chunthey rahey
Apne aks-e zaat ko kertey rahey sheerazah bund
Aa-eena khanoosey hum perchaiyaan chuntey rahey
Sir phirey deryaon ki mojoan pey dala hum ne haath
Qulzum-e husti sey hum tughyaniyan chuntey rahey
Hum thay aur tunha-ee ka derya-aye na-paida kinara
Teyri yadoan key bha-wer sey hich-kiyaan chuntey rahey
Ker diya ahel howis ney daaman-e gul taar taar
Aur hum malboos-e gul ki dhuj-jiyaan chuntey rahey
15. Raig-e Sehra bhi, Dhoop bhi hum thay
Raig-e Sehra bhi, Dhoop bhi hum thay
Aik dunyia saraab ki hum thay
Jo khainchi thi ufaq key mathey per
Who sunheri lakeer bhi hum thay
Chaak daamen-e shub kiya jis ney
Sir phiri si wo roshni hum thay
Ik tamasha thay hum sir-e bazaar
Bazm-e khoobaan ki dilkashi hum thay
Jo hawaoon key taaq main bhi jaley
Un charaghoan ki Roshni hum thay
Chaak-e pair-rahun-e hiyaat thay hum
Apna raqs berhungi hum thay
Tha bahaaroan main rung o boo hum sey
Shay-her gul ki bahar bhi hum thay
Moja-aye zindagi ka short hay hum
Dasht-e husti ki khamoshi hum thay
Tha hum-hee say wo jashan-e bazm-e hiyaat
Qeryi-aye jaan ki Roshni hum thay
Tishna oos doar-e mai perasti main
Apna pandaar-e tashnagi hum thay
16. Tu qulzum tha main derya tha
Tu qulzum tha main derya tha
Mujh ko tugh sey he milna tha
Main ney tera chaand sa mukhra
Apni nazroan sey chooma tha
Is unboohey serwer qadaan main
Tu hee tu sub sey ooncha tha
Mayre piyaar ka pehla jumla
Teyrey aariz per chumka tha
Tu ney nazrain neechi ker key
Piyaar ka jab iqraar kiya tha
Teri palkain bheeg chalien thein
Tera aanchal dhaluck giya tha
Tu mayri bahoon main aa ker
Phool ki soorat khil utha tha
Mayri palkoan key goshoan per
Teyrey aariz ka gaaza tha
Teyey gism ki her tahni main
Mayrey saansoan ka jhoanka tha
Teyri zulfoan key painchoan main
Mayri palkoan ka shaana tha
Teyrey laboan ki bunyadoan per
Mayrey hoantoan ka mulba tha
Surkh ho-eein thie teyri aankhain
Dair talack main bhi jaaga tha
Bersoan teyre jism ka chundan
Maire pahloo main sulugta tha
Main ney apney piyaar ka sooraj
Teyre mathey per taanka tha
Apni dua-ein neem shabi main
Main ney tujh ko hee maanga tha
Jaan o dil sey toot key main mey
Aik tujhi ko tu chaha tha
Teyre saanshoan ki Khushboo sey
Meyra tun mun mahek utha tha
Tishna ney teyri chahat ka
Sheesh mahel tameer kiya tha
17. Sha-her main qatl-e aam howa tha
Sha-her main qatl-e aam howa tha
Main bhi shaheed daste jafa tha
Ay bersaat bananey waley
Main bhi bersoan ka piyasa tha
Baagh main phool khilaney waley
Main ney bhi hunsna chaha tha
Seep ko moti baksha-ney waley
Main bhi baarish ka qatra tha
Aye meethi naandoan key khaliq
Dair taluck main kiyoon jaga tha
Sach-chey khowaab dikhaney waley
Meyra sapna jhhota tha
Mayrey jazboan ket sehra main
Dhoop ney kiyoon daira daala tha
Mayri raat key neel gagan ka
Chaand bhi rasta bhool giya tha
Sab ko khooshiyaan baant-ney waley
Mujh ko kiyoon ghum bakhsha tha
Duniya ka dil rakhey waley
Tishna se kiyoon rooth giya tha
18. Jab tu mujh sey bicher raha tha
Jab tu mujh sey bicher raha tha
Phoot phoot key dil roya tha
Teyri palkoan per shabnam thi
Meyri aankhaon main deriya tha
Teyri zulfoan main afshaan thi
Mayri rah main andhaira tha
Dil pey qiyamat toot rahi thi
Sabr ka daman choot giya tha
Piyaar sey mera haath daba ker
Tu ney seeney per rakha tha
Jaltey hoantoan se phir tu ney
Mayrey haath ko choom liya tha
Mayre haat ki pusht pey sajani
Teyrey hoantoon ka naqsha tha
Phir main tujh se rukhsat ho ker
Jeewan rastoan main tanha tha
Unjani see her manzil thi
Soona soona her rasta tha
Aaj wo sab kuch yoon lugta hey
Jaiey ik sapna daikha tha
Qurb bhi sapna piyaar bhi sapna
Sapna bhi kaisa jhoota tha
Teyrey jism key sahil per bhi
Tishna qernoan ka piyasa tha
19. Sahil pey kohraam macha tha
Sahil pey kohraam macha tha
Derya rasta badel raha tha
Waqt key haatoan sey pachum main
Soney ka ik thaal gira tha
Yeh kis ko aaghoosh main ley ker
Shaam ka chey-ra damak raha tha
Phoolaon key nazook seeney main
Kirnoan ka naiza ootaara tha
Shabnam key jugmag sheeshey per
Sooraj ney peth-her mara tha
Aye dil oos ki inti chahath
Tu ney oos main kiya daikha tha
Wo kaisa ahsaas tha yaarab
Jaisey kuch honey wala tha
Taiz bohat thi dard ki aandhi
Pet-tah pet-tah laraz raha tha
Dil ki tanabaintoot rahi thien
Kahima-ein jaan girney wala tha
Dil key sheesh mahel main Tishna
Kon yeh path-her phaink raha tha
Jis rat qulabo sa tere seag suji the
Is rat dhrato pa bhot oss pare the
20. Koi Deewar thu na saya tha
Koi Deewar thu na saya tha
Zindagi thi keh aik sehra tha
Wo mila dasht-e kawab main akser
Apney shairoon main gis ko likha tha
Jaan-e bazm-e hiyaat teyrey baghair
Main her ik anjuman main tunha tha
Phir mujhey moth bhi nahi aa-ee
Kiyoon tujhey zindagi banaya tha
Ayeeiney sey bhala kahan nisbat
Dil bari khamooshi sey toota tha
Main tha pth-jher ka berg-e awara
Tu khizaan ki hawa ka jhoanka tha
Mayrey shaanoan sey tu ney akhir-e shab
Apni zulfoan ko jab simta tha
Ik qiyamat si dil main jagi thi
Ai mahsher sa mujh pey guzra tha
Chaand main bhi teri shabahat thi
Phool teri mahek sey maheka tha
Ab sir-e bazm hai wo hasher badosh
Wo jo tunhaiyoon main khilta tha
Mujh ko deejay saza-aye jurm sada
Main ney qufl-e sakoot toora tha
Main ney he tairgi key kaimoan per
Roshnioon ka teer phainka tha
21. Mataye jaan sir-e bazaar loot-wa-ney ko ji chaha
Mataye jaan sir-e bazaar loot-wa-ney ko ji chaha
Oosi bey maher key koochey main phir janey ko ji chaha
Shikast-e dil ki khamooshi giraan kuch is qadr guzri
Dookaan-e sheesha ger pey sungh baresney ko ji chaha
Kahien ka bhi na rakha tunda-ee ahsaas ney mujh ko
Mera her phool ke humra moorjhaney ko ji chaha
Yeh anrohey faroogh-e aagahi bhi ik qiyamat hey
Hazaroan baar is jeeney sey mer janey ko ji chaha
Hajoom-e yaas ney jab ashk bhi choarey na aankhoan main
Lab-e gul per hunsi bun ker bikher janey ko ji chaha
Fiza-ain chup herassan shehr galiyaan dum-ba-chood Tishna
Mera sung sada aisey main berasney ko ji chaha
22. Tujh ko apna sumjha tha
Tujh ko apna sumjha tha
Main kaisa diwana tha
Main tha rait kinaroan ki
Tu ik cherta darya tha
Sahraoan ki piyaas tha main
Tu sawan ki berkha tha
Dasht-e bala kid hoop tha main
Tu nazroan ka dhoka tha
Main tha berg-e awara
Tu purwa ka jhoanka tha
Tujh ko khowaab main daikh key main
Gahri needh sey choanka tha
Main ney tujh ko yoon daika
Jaisey ik sapna tha
Main ney apni ghazloan main
Teyra roop sajaya tha
Rahil-e mohabat per rakh ker
Paher-roan tujh ko perhta tha
Lafzoan key pey-rahun sey
Main ney tujh ko dhaanmpa tha
Meyri fikr ki masnadh per
Ik tu hee tu baitha tha
Main khudh sey bhi rooth giya
Thujhey manaey aaya tha
Duniya chaaoan main baithi thi
Main ney pair lagaya tha
Mayre gism key sahra per
Teyre piyaar ka saya tha
Teyri zulf ki chaoan main
Tishna chain sey soya tha
23. Hum ko diya hai zamaney khud-pasand
Hum ko bana diya hai zamaney ney khud-pasand
Kertey hain apney aap main tujh ko talash hum
Kaandha na dey saka humain yeh shahr-e ashnaan
Tunha ootha-aye phirte rahey apni laash hum
Lay jaye daikhey kahan yeh sir-sir-e hiyaat
Kis dasht main na janey rakhain bo-do-bash hum
Sheeshey ka jism oorh key nikal-ey thay shahr main
Ab kiya gila kerain keh hoaye paash paash hum
Hei kaarobar-e zeest main hum sey hama-hami
Ay doosth nabz-e waqt ka hain ertaa-aash hum
Jo ho saki na waqt key merhum sey mandmil
Hain chara-e haiyaat ki aisi kharaash hum
Tishna humarey naam pey lugti hain bariyaan
Dast-e qumaar baaz main hain goya taash hum
24. Qaamath sey apney koi tu ooncha dikha-ee dey
Qaamath sey apney koi tu ooncha dikha-ee dey
Hum daikhtey rahey koi hum sa dikhaee dey
Sooraj key doobney pey yeh naqsha dikhaee dey
Pey-roan sey berh ker pairh ka saya dikhaee dey
Pather yeh kis nai phainka hey yadoan ki jheel main
Dhoondla sa aik aks larazta dikhaee dey
Dhaara hai khooshiyoon ney faraib-e nazr ka roop
Raig-e rawaan bhi piyaas main deriya dikhaee dey
Daikhi hai hum ney was-ath-e sahraaye zindagi
Zera bhi apney aap main duniya dikhaee dey
Ma-e tamaam main ho teyra per too-e-jamal
Ik roz toh yeh chaand bhi tujh sa dikhaee dey
Tishna humain yeh kis ney khood ara bana diya
Her aainey main apna hee jalwa dikhaee dey
25. Choomey hei nazr wo lab-o rukhsaar abhi tuk
Choomey hei nazr wo lab-o rukhsaar abhi tak
Aankhoan mainhai ik lamha-e deedaar abhi tak
Chumki thi kabhi barq nazr khaima-e jaan per
Lerzaan ha imager roh ki diwaar abhi tak
Bajti hain merey kaan main ab tak teri saansain
Sunta hoon terey qurb ki jhankaar abhi tak
Phooloan sey kabhi aik ta-aluqh tha humara
Daman sey ulajhta hai sir-e khar abhi tak
Khoon-e gul wal-walla sai jo gul rung hoi thi
Hai dast-e saba main wohi talwaar abhi tak
Ojhal hai nighaon sai wo ik saaz mujasim
Ik moaj-e sada hai pes-e diwaar abhi tak
Sooraj tu sawa naizey pe aa pohuncha hai Tishna
Daikhey na magr subha kai aasaar abhi tak
26. Tabish-e khoon-e shaeedaan-e wafa rahney doh
Tabish-e khoon-e shaeedaan-e wafa rahney doh
Meyrey khoonaon pey kaf-e dast-e hina rahey doh
Zulf sey shola-e aariz ko dhaka rahney doh
Is dahektey hoaye sooraj pey ghatah rahney doh
Bujh ga-ee shama-e harem gul hain kaleesa key charagh
Der-e maikhana tu is waqt khula rahney do
Na tumhain ishq sai nisbath na humain ghum sai feraar
Roz ka ab naiya ayhad-e wafa rahney doh
Ho chukey shahr-e nigaraan key derichey weraan
Koi paighaam na la-aye gi saba rahney doh
Koocha-e ishq main baynaam-o Nishan hai Tishna
Is ko na waqf-e adaab-e wafa rahney doh
27. Waqf musluck rindana tu bun laynai doh
Waqif masluck rindana tu bun leynai doh
Hum ko khaak-e der-e maikhana tu bun laynai doh
Hasil-e main nahi ho sukta abhi zarf-e sifaal
Koza-e khaam ko paimaana tu bun laynai doh
Kub bhala hum nai pristish sai kiya hai inkaar
Apni mahfil ko sanam kahna tu bun laynai doh
Hum rakhain gay ghum-e khana ko dil-o jaan sai aziz
Gum-e aiyaam sai baigana tu bun laynai doh
Daikhna tapkey ga her halqa-e zanjeer sai khoon
Noe giraftaar ko diwana tu bun laynai doh
28. Herf-e izhaar hoon mai dil main uter jaoon
Herf-e izhaar hoon mai dil main uter jaoon
Soorat-e rung-e hiya rukh pe bikher ja-oon ga
Tu mujhey dhoondta rah jaye ga manzil manzil
Main tuh jhonka hoon dabey paoon guzer ja-oon ga
Doob ja-oon ga main lamhoan ke samendar main toh kiya
Qulzum-e waqt ko payaab toh ker ja-oon ga
Yeh musafat ke kerey koas yeh rahoan ka azaab
Dasht-e bay-saya ke ashoab se mer ja-oon ga
Ley urrey ga mujhey phir koi hawa ka jhoanka
Mujhey raig-e rawaan bun keh bikher ja-oon ga
29. Herf-e izhaar hoon mai dil main uter jaoon
Herf-e izhaar hoon mai dil main uter jaoon
Soorat-e rung-e hiya rukh pe bikher ja-oon ga
Tu mujhey dhoondta rah jaye ga manzil manzil
Main tuh jhonka hoon dabey paoon guzer ja-oon ga
Doob ja-oon ga main lamhoan ke samendar main toh kiya
Qulzum-e waqt ko payaab toh ker ja-oon ga
Yeh musafat ke kerey koas yeh rahoan ka azaab
Dasht-e bay-saya ke ashoab se mer ja-oon ga
Ley urrey ga mujhey phir koi hawa ka jhoanka
Mujhey raig-e rawaan bun keh bikher ja-oon ga
Aye sakoot-e shub-e ghum koi sada hulki si
Mian tuh sunatoan ki oos goonj se mer ja-oon ga
Kal ke khwaaboan ki hain kirchain meri aankhoan main abhi
Neendh key zakhm bherain gay tu main gher ja-oon ga
Shab ki aankhoan sey hoon tapka howa aansoo Tishna
Main kisi phool se aariz pe thaher ja-oon ga
30. Anaar kei zakhm geraybaan kei taar taar main hoon
Anaar kei zakhm geraybaan kei taar taar main hoon
Main bazm-e gul main tha ab kanj bay bahaar main hoon
Yahaan toh jo bhi mila ajnabi mila mujh ko
Yeh shahr kon sa hai main yeh kis diyaar main hoon
Bujha kei mujh ko guzr jaye ga koi jhonka
Charragh-e rah hoan hoawaon kai intazaar main hoon
Kabhi idher sai guzr ay nigaar-e shshr-e jamal
Tujhey khaber bhi hai main teri rahguzer main hoon
Meri talaash hai jis ko wo dhoondh lai mujh ko
Guloan ke rang main hoon nikhet-e bahar main hoon
Diya hai tana-e o amaandgi sabhi nai mujhey
Main aaney waley musafir ke intazaar main hoon
Ata ho-ee thi masiha ko jis ki paish rawi
Saleeb utha-aye hoye main oosi qataar main hoon
Khood apney gism kai merqadh main dafen hoon Tishna
Main ji raha hoon mager zeesth kai mazaar main hoon
31. Khoon-e dil qatel-e tamana ho ga
Khoon-e dil qatel-e tamana ho ga
Ishq main daikhiye kiya kiya ho ga
Meyri is chaak giraybani per
Shahr main aik tamasha ho ga
Aye mayre khawaab ki tabeer batah
Khawaab tooh naib hi toh daikha ho ga
Jab kisi nai teri zulfoan main kabhi
Piyaar sai phool sajaya ho ga
Ashk aankhoan main bher aa gaye hoan gay
Dil main ik dard sa utha ho ga
Aa giya ho ga tujey mera khiyaal
Jab sitara koi tootah ho ga
Tha mujhi tak wo sitm meyre khiyaal
Phir koi dil na dikhaya ho ga
Meyra dil toorh kei Tishna oos ko
Piyaar pat-ther pey bhi aaya ho ga
32. Zameen pey theh jo asmaan kiya hoaye
Zameen pey theh jo asmaan kiya hoaye
Wo apne saarey meherbaan kiya hoaye
Samenderoan main jin se aik jashen tha
Wo kishtiyaan wo baadban kiya hoaye
Heri bhari thien jin dum se khaitiyaan
Wo arq jabeen kisaan kiya hoaye
Wo kiya ho-een mohabtoan ki bastian
Makeen wo kiya hoaye makaan kiya hoaye
Wo jin kai dum sai thien lahoo main gerdishain
Wo sha-eraan-e khoosh biyaan kiya hoaye
Kahaan ga-een shikarioan ki toliyaan
Balandiyoan kai wo machaan kiya hoaye
Yeh kis maqam per hiyaat aa ga-ee
Yaqeen wo kiya hoaye gamaan kiya hoaye
Wo zindagi ki aan baan kiya ho-ee
Wo naam kiya hoaye Nishan kiya hoaye
Jala kai aaye thay jo apne baadbaan
Wo shair-e dil jahaaz-raan kiya hoaye
Terashtey thay manzilain jo dasht main
Wo qaafley wo saarbaan kiya hoaye
33. Panha-gah kai asder koi na daikh saka
Panha-gah kai asder koi na daikh saka
Choopey hoaye thah jo khanjar koi na daikh saka
Lahoo lahaan tha main aur sab tamashaee
Kidher sai aaye thah pather koi na daikh saka
Nazer lagaaye rahey doosrey kai qaamet per
Kisi ko apney braber koi na daikh saka
Her aik shaks tha apni howis ka zindani
Hisaar-e zaat sai baher koi na daikh saka
Sabhi nai daikha berastey hoaye ghataoan ko
Hoowa hai khushk samendar koi na daikh saka
Sabhi sai daadh mili sir kheroee ki Tishna
Chaley jo roh pey nashter koi na daikh saka
34. Who jis kai haath main pather hai yaro
Who jis kai haath main pather hai yaro
Wohi ik shaks mera aashna hai
Khafa hotey hain kiyoon ahbaab hum sai
Hamari zaat toh ik aeina hai
Mujhey bhi ab tunhari bay rukhi per
Mohabat ka gumaan honey laga hai
Tumhain bholey hoaye baitha tha laikin
Bohat yaad aaye tum jab dil dookha hai
Jagaoo dawer-e mahsher ko Tishna
Sawa naiza pey sooraj aa giya hai
35. Loot giya rahoan main rakht-e jaan bohat
Loot giya rahoan main rakht-e jaan bohat
Ho gaye hum bay sir-o samaah bohat
Rakhs tha aankoan main nangi roh ka
Thah libasoan main bhi hum uriyaan bohat
Kijiaye ab jaib-o damaan ka hisaab
Mosam-e wahshat ka tha ermaan bohat
Hum asiraan-e mohabat kai liaye
Ik teri aaghosh ka zindaan bohat
Dostoan nai aakhir dil rakh liya
Hum ko loot janey ka tha armaan bohat
Terey wadoan ka oosay hai aitebaar
Tishna Alamtab hai nadaan bohat
36. Yeh qulzum-e hiyaat tu payaab tha mager
Yeh qulzum-e hiyaat tu payaab tha mager
Her lamha mayri fikr ko gahraee dai giya
Phir oos kai baad kitnai manazir nazr main aaye
Bay noor sa-aatoan ko wo bina-ee dai giya
Merham bersat tha jo bazahir wo aashna
Janey laga toh zakhm-e shanasa-ee dai giya
Kiya ghamgusaar tha keh mera haal pooch ker
Kuch aur dil ko ranj-e shakaiba-ee dai giya
Wo mahfiloan ki jaan tha ronaq shaboan ki tha
Jo shaks mujh ko tohfa-e tanha-ee dai giya
37. Nishaat-e germi bazm-e khiyaal daikhain gay
Nishaat-e germi bazm-e khiyaal daikhain gay
Deeaye bujha kai terey khadoh-khaal daikhain gay
Musafat-e lab-o aariz tamam hai tuh sahi
Tujhay bhi ay rosh mah-o saal daikhain gay
Bahar per gul-e dosheezgi hai wasl ki shab
Maal husn ka husn-e maal daikhain gay
Biyaaz-e hafiz-e sheeraz hair oh-e zeeba
Warq warq peh mohabat ki faal daikhain gay
Laraztey hotoan peh tamheed-e iltija ho gi
Hamakti aankhoan main husn-e sawaal daikhain gay
Nazool-e aaya-aye dosheezgi kai din aaye
Kitab-e ishq ka haroof-e kamal daikhain gay
Bara hai naaz tumhain apney aap per Tishna
Tumhain bhi hum sir-e shahr jamal daikhain gay
38. Jinhain bhulaney main yaro barey zamaney lagey
Jinhain bhulaney main yaro barey zamaney lagey
Jo dil dookha toh wohi loag yaad aaney lagey
Main jis gali sai bhi shahr-e jamal main guzra
Khiley gulaab mundairoon pey muskeraney lagey
Diyaar-e fikr main yadoan ki dayweeyaan uterain
Gaye dino key fasaaney barey soohaney lagey
Sitam yeh kam toh nahi hai keh ajnabi bun ker
Meyrey qareeb sai guzerey tu muskeraney lagey
Humarey chahrey peh kiya likh diya mohabat nai
Tamaam dosth hamain aaina dikhaney lagey
39. Bhooley bisrey khawab soohaney yaad aaye
Bhooley bisrey khawab soohaney yaad aaye
Aaj who sarey yaar pooraney yaad aaye
Shahroan ki tahzeeb thi jin ki her laghzish
Woh soda-ee who diwaaney yaad aaye
Jhaank key daikha jab bhi dil key daaghoan main
Kaisey kaisey aaina khaney yaad aaye
Anjana ik shaks mila tha aaj mujhey
Sab chahrey janey pahchaney yaad aaye
Yaraney ki dhoop thi jin kai chahroan per
Tum sai mil ker who baiganey yaad aaye
Kisi sai miltey kisi ko jab daikha Tishna
Gaye dono kai sab afsaney yaad aaye
40. Kuch rakht-e safer bhi saath ley lo
Kuch rakht-e safer bhi saath ley lo
Raste main hee raat ho gayee toh
Kiya ho gaye chaand wo tumharey
Ay shahr-e jamal kai derecho
Yeh toh nahi chahatoan ka lehja
Ik baar toh piyaar sai pookaro
Kiya ho ga jo aag phail nikli
Humsaaye ka gher jalaney walo
Bay noor ab ho chali hain subhain
Kuch sharam kero ay Roshni ferosho
Kab tak yeh zamien peh sajda raizi
Utho aur aasmaan ko choo lo
Wo bhi na rahey jo saij per they
Ghumgeen na ho lahed kai phoolo
Waqif hai yeh sari manziloan sai
Tishna ko bhi saath saath rakho
41. Teyri soorat ka yeh fasoo kab tak
Teyri soorat ka yeh fasoo kab tak
Aaiena daikhta rahoon kab tak
Qerya qerya uri hay dard ki dhool
Shehr-e bay maher main rahoon kab tak
Ker liya main ney taar taar baden
Bay libaasi bhi aye janoon kab tak
Zerb-e teesha -e faghaan-e sang bhi sonh
Zabt-e gham sey main kaam loon kab tak
Doastoe bazm-e shab naseebaan main
Roshni key liaye jaloon kab tak
Bazm- may teyre wastey Tishna
Aakhirsh jam-e wazhgoon kab tak
42. Tum hotey ya tum sa hota
Tum hotey ya tum sa hota
Kaash koi toh apna hota
Piyaar ka dawa kerney walo
Mera dard bataya hota
Dhalti raat ki tunha-ee main
Chupkey sey toh aya hota
Akhir-e shab zindaan main koi
Khawaab-e giraan sey chonka hota
Yeh tunha-ee yeh sun-nata
Zoar sey dil hi dherka hota
Ruktey nahi roakney sey aansoo
Tum ney haal na poocha hota
Rukhsat ho ker janey waley
Mor ker bhi toh daikha hota
Tum maqtal main hi aa jatey
Koi toh wadah eefa hota
Apni needh kai rang mahel main
Meyra sapna daikha hota
Main nai jo kuch bhi socha hai
Daiwaroan per likha hota
Janey ki jaldi hi kiya thi
Tum nai Tashna roka hota
43. Lafz-o maani main koi rabt toh rakha hota
Lafz-o maani main koi rabt toh rakha hota
Jo bhi kuch tooh ney kaha main bhi samjha hota
Tujh peh bhi hashr-e juda-ee kabhi guzra hota
Mil key tooh bhi toh kisi shaks sey bichra hota
Hain kahien naok-e dashnaan kahien barish-e sung
Tooh nai is shahr ko maqtal na banaya hota
Zulf-o aarez ka tasawer lab-o rukhsaar kai khawab
Baad-e jana mujhe dunya ka bhi rakha hota
Tujh ko bhi waqt ki nabzoan ka toh hota ahsaas
Main ney jo socha tha diwaaroan peh likha hota
Jis sey khoorsheed ki palkoan main nami aajati
Aariz-e gul peh Shabnam ka wo qatra hota
Oon charagoan key bujhaney sey rookey gin a saher
Raat rakhni hai toh sooraj ko bujhaya hota
44. Wo keh her ahed-e mohabat sey mukerta jaye
Wo keh her ahed-e mohabat sey mukerta jaye
Dil wo zalim keh oosi shakhs peh merta jaye
Mayre pahloo main wo aaya bhi toh khoshboo ki terha
Main oosey jitna samaintoon wo bikherta jaaye
Khultey jayain jo terey band-e qaba zulf kai saath
Rang-e pairahun-e shab aur nikherta jaye
Mash-hetr ho kai barhey aur nako nami-e ishq
Dil bhi shaista gham ho kai saanwerta jaye
Ishq ki bazm nigahi sai hina hoon rukhsaar
Husn wo husn jo daikhey sai nikherta jaye
Kiyoon na hum oos ko dil-o jaan sai chahain Tishna
Wo jo ik dushman-e jaan piyaar bhi kerta jaye
45. Qerya jaan ko andhairoan sey bachaye rakhna
Qerya jaan ko andhairoan sey bachaye rakhna
Dil ki Qandeel hawaoan main jalaye rakhna
Zindagi ko kahien mil jaye na sahil ka sakoot
Tum her ik moaj main tofaan uthaye rakhna
Koi aye ga uthaye hoye kaandhey pey saleeb
Aaj maqtal key dard baam sajaye rakhna
Germi shahr-e mohabat hai oosi kai dum sai
Dil ki mahfil ko bahr rang jamaye rakhna
Wo mera oon sey shikayaat bhi na kerney ka khiyaal
Aur wo oon ka nighaoan ko jhookaye rakhna
Qaafley guzain gay bay haal idher sai yaro
Dasht-e ashoab main tum saye bichaye rakhna
Kuch nishani toh rahey maosam-e gul ki Tishna
Aik pat-ta toh hawaon sey bachaye rakhna
46. Kis ney derwaza-e ahsaas pey dastak di hai
Kis ney derwaza-e ahsaas pey dastak di hai
Gumbadh-e zaat main phir aik sada goonji hai
Loh-e dil per mahabat sey mera naam na likh
Moja-e raigh pey tasaweer kahan rahti hai
Teyri awaaz khanakti hai sir-e perda-e jaan
Dasht-e dil may jers-e gul ki sada aati hai
Ab bhi kuch sung idher aatey hain gahey gahey
Shahr khabaan main abhi rams-e wafa baqi hai
Dil ko aa jaata hai sookhey hoaye pathoan ka khiyaal
Kaanp jata hoon main jab taiz howa chalti hai
Kiya kahain daamen-e gul chaak hoowa hai yaroo
Khaak oorati hoo-ee kiyooon moaj-e saba guzri hai
Naz hai mujh ko bhi aijaaz-e masihaa-ee per
main nai alfaaz main ahsaas ki jaan dali hai
Mayrey haatoan main hee ab sung sajain gay Tishna
Main nai hee aaina khanoan ki bna rakhi hai
47. Tooh phool phool rahey khoosbooan kay aanchal main
Tooh phool phool rahey khoosbooan kay aanchal main
Main khaar khaar hoon aabloan kay jungle main
Tera baden kah teyray pairahan say chanta hai
Kah jaisey Chandni lipti ho surkh malmal main
Meyri sahr kai oojaley hain teyray aariz per
Meyri khooshboo ki siyahi hai kajal main
Hajoom-e mah washaan tha wafa kay panghat per
Badan ki piyaas bhari thi sabhi ki chaagel main
Aye neem shab kay musafir batah kidger jaa-ein
Choopa liya hai charaghoan ko tooh nai aanchal main
Her aik shaakh kai dil main hai rang-o boo ki tarap
Namoo ka zoaq hai raqsaan her aik ko napl main
Yeh aaj chooti hai kis kay lahoo ki mahtabi
Yeh kis nai jashn-charaghaan kiya hai maqtal main
Toh iss zameen main chingarioan ki fasal na boe
Oogi jo aag toh phailey gi sarey jungle main
Zameen ki piyaas bujhey bhi toh kis terha Tishna
Keh aik boondh bhi baqi nahi hai badal main
48. Nah dosti nah mahabat nah aashnaee gaee
Nah dosti nah mahabat nah aashnaee gaee
Hamarey saath hamari shikasta paaee gaee
Wo jis ka naam qiyamat rakha hai duniya ney
Oothey gi teri gali sai ager oothaee gaee
Bana kai aalim-e hasti ko aaina khana
Meyri shabiha mujhe baarha dikhaee gaee
Kiya azl sai mujhey gumbadh-e hiyaat main bund
Wo baazgasht hoo-ee taab-e lab-e kooshaee gaee
Oothey hain loag baneraaz-w khoodh shanasaee
Ameer-e shahr bas ab teri paishwaee gaee
49. Kiya khailain derya key joher dasht main
Kiya khailain derya key joher dasht main
Raith ka hai ik samander dasht main
Roshni bhi aag barasney lagi
Aa giya sooraj bhi sir per dasht main
Goolistan hai bergeroan ki chaooni
Qad nikalaingay sanober dasht main
Choar aaye kub ka shahr-e aashna
Koan berasta hai pather dasht main
Khawab kai soorat gero daikho mujhey
Mujh say hain yeh sarey manzer dasht main
Dairni hai yeh bagoaloan ka dhamaal
Hain saba kay aur taywer dasht main
50. Kaho yaro tumhain kaisa lagey hai
Kaho yaro tumhain kaisa lagey hai
Wo zalim jo mujhey acha lagey hai
Mahiney bher main yeh mahtab loago
Bas ik doh din hee oon jaisa lagey hai
Jahaan bhatka tha main pahley bhi aye dil
Mujhey tooh yeh wohi rasta lagey hai
Qiyamat phir koi tootey gi dil per
Mujhey ik ajnabi apna lagey hai
Hai ibrat ko maal-e gul hi kaafi
Mujhey hunstey hoaye der sa lagey hai
Wo hai ik baab-e tareekh-e gulistan
Tumhainjo barg-e awara lagey hai
Ghazab loago mahabat aashna dil
Oosey ootra howa sheesha lagey hai
Khooda rakhey mera wo dushman-e jaan
Mujhey toh jaan say piyara lagey hai
Nah janey tum nai kiya Tishna main daikha
Humain toh koi diwana lagey hai
51. Is nay bhi dildari ki
Is nay bhi dildari ki
Jo meyra ghumkhwar na tha
Mayrey qaamat sai ooncha
Koi Satoon-e daar na tha
Kab hum say is zindaan main
Jashn-e saleeb-o daar na tha
Loago hum thay sooli per
Maqtal main tahwaar na tha
Oos rastey per chal nikley
Jo rasta humwaar na tha
Bari bari dastaroon main
Aik bhi toh serdar na tha
Namoan ki fahristain thein
Jazjoan main eesaar na tha
Bazm main khoosh guftaar koi
Mahroom-e guftaar na tha
Mahfil thi wo yaroan ki
Shahoan ka derbar na tha
Hum khood apney dushman thay
Koi pas-e diwaar na tha
52. Patti Patti Bikher Gayee
Patti Patti bikher gayee
Itni mahngi aik hunsi
Kitney dukh day jati hai
Yaad koi bholi basri
Jis ko chaha tha main ne
Moorat thi wo pather ki
Phir na kabhi daikha oos ko
Deedh ki mahfil phir na jami
Shaam kay dhoondlay sahil per
Mili thi hum ko ik larki
Nangay pa-oan wo serdi main
Thandi rait peh baithi thi
Badan sunhera kundan sa
Tapi ho-ee wo Chandni thi
Sulagh rahi hai tun mun main
Oos ki saansoan ki garmi
Laraz rahey thay lub oos kay
Ankhain thien bheegi bheegi
Maikhanoan kay bus kin ahi
Tishna teri Tishna labi
53. Hum tum roaz hi milte thay
Hum tum roaz hi milte thay
Jazbey kitney sachey thay
Piyaar ki pahli barish main
Dair talack hum bhaigey thay
Jism ka jungle piyasa tha
Roh peh badal bersay thay
Dair taluck khamoshi sey
Dono chaand ko tucktey thay
Phir apni khamooshi per
Hum dono huns daitey thay
Tunha-ee key sahra main
Yadoan kay sunatey thay
Mayrey ghar kay aangan main
Kitney pathar bikheray thay
Ab wo mujhay lotaa daina
Jo khath tum ko likhay thay
Beech samandar main rah ker
Boondh boondh ko tarasay thay
Patah chala tabeeroan say
Jhootay sapnay daikhay thay
Dair taluck hum ratoan ko
Tayra rasta tuktey thay
Tishna jin say chashmuck thi
Who sab yaar pooraney thay
54. Garmi si terey jism ki mahsoos hoi hai
Garmi si terey jism ki mahsoos hoi hai
Ghabra kay ka-ee baar meri aankh khooli hai
Aaya hai who Khursheed qaba khlowat jaan main
Yeh paira-hun-e shub kay musaknay ki ghari hai
Khainchay hai tasawer lab-o-khisaar kay naqshay
Daikha nahi oos ko mager awaaz suni hai
aa-aye hain deraichoan main nazer chaand sitarey
jiss simt say guzra hoon bari dhoom machi hai
aye shehr-e nigaraan ke safeer mujhey daikho
ik umer mayri Zohra jamaloan main kati hai
55. Mujh se moo hair ke janey waley
Mujh se moo phair ke janey waley
Kiya kahain gay yeh zamaney waley
Too mayri soach se burh ker nikla
Rishta-e dard nibhaney waley
Kiya hoaye teri gali ke who loag
Who jo thay hashr oothaney waley
Mujh ko bhi azn-e tabasum daita
Baagh main phool khilaney waley
Too mayri roh main oot-ra hota
Mayre pahloo main samaaney waley
Mayri duniya main andhaira kiyoon hai
Mah-o khusheed bananey waley
Ab nahi taab-e sama-ath mujh main
Qisa-aye dard soonaney waley
Aakhirash seekh liaye toh nay bhi
Sarey andaaz zamaney waley
Bun kay tabeer bhi aya hota
Nit naye khowaab dikhaney waley
56. Hawaye dard kuch aisi chali thi
Hawaye dard kuch aisi chali thi
Tanaab-e khaima-e jaan khainch rahi thi
Kissi ko maherbaan samjha tha hum nai
Woh saari khawaab ki soorath giri thi
Chali ab hasratain bhi shehr-e dil sai
Yah basti kitni mushkil sai basi thi
Jahan daikha tha ik din chaand hum nai
Who khirki aaj bhi sooni pari thi
Jo thi ik din moolaqatoan ki janat
Wo shahyad mayri khowaboan ki gali thi
Jaloos-e aashqaan nikla tha Tishna
Tamashey ko bari khaqath khari thi
57. Qerya-e jaan tujhey hum yaad toh aatey hoan gay
Qarya-e jaan tujhey hum yaad toh aatey hoan gay
Kabhi afsaanoan ki soorat kabhi khowaboan ki terha
Dostoan yeh bhi mohabat ki jaza hai shayad
Hum peh her lamha guzerta hai azaaboan ki terha
Aa-gahi jahel-e numaish kay bohat kaam aa-ee
Hum sajaye ga-aye taqatoan main kitaboan ki terha
Sir-khero-ee toh muqader hai oosi ka yaro
Jo kaf-e kaar main khilta hai gulaboan ki terha
Wo keh jin say thi kabhi anjuman araa-ee shab
Hum sai ab miltey hain who bund kitaboan ki terha
Zerf her jam ka hum daikh chukey hain Tishna
Hum her ik bazm main chalkain hain sharaboan ki terha
58. Her aik saans peh pahra bitha diya jaye
Her aik saans peh pahra bitha diya jaye
Fiza main daam-e sima-uth bichha diya jaye
Yeh hook’m hai keh maqzel hoon sarey derwazey
Tamaan shehr ko zindaan bana diya jaye
Jo lab kusha ho koi kaat doh zabaan oos ki
Jo sir buland ho woh sir jhooka diya jaye
Koi charaagh sir-e shaam ho kahien roshan
Chali hai rasm keh woh gher jala diya jaye
Bulao phir sir-e maqtal meray raqeeboan ko
Hisaab-e qarz-e rafiqaan chuka diya jaye
Jo rah-zanoan say bacha la-aye thay wo naqd-e hiyaat
Banaam qerya yaraan loota diya jaye
Sher-er ki aag say pighla na patheroan ka wajood
Gharoor-e sang ko Tishna mita diya jaye
59. Misaal-e moaj-e saba hum chaman main aaye thay
Misaal-e moaj-e saba hum chaman main aaye thay
Bahar bun kay teri anjuman main aaye thay
Goobar-e shaam-o saher tha humarey chahre per
Hum aftaab thay laikin gahen main aaye thay
Shikasta gaam lahoo perahan rasn bay glo
Shikar ho kay ghazalaan khatan main aaye thay
Loota kay qaafla-e jaan banaam-e dair-o haram
Ghareeb-e shahr, diyaar-e watan main aaye thay
Hansa tha hum pay bhi Tishna hajoob kam nazaraan
Leeaye saleeb-e sukhan shehr fun main aaye thay
60. Maal subha baharaan tumhain Mubarak ho
Maal subha baharaan tumhain Mubarak ho
Yeh chaak chak giraybaan tumhain Mubarak ho
Shikast-e goher shabnam pay roh raha hoon main
Tabasum-e gul-e khndaan tumhain Mubarak ho
Lahoo lahoo yeh ujala yeh zakham zakham charagh
Yeh jashen-e shaam-e shabastaan tumhain Mubarak ho
Shikast-e aaiena dil nay yeh sada dee hai
Yeh shoar-e bazm-e nigaraan tumhain Mubarak ho
Humarey saath hai Tashna hajoom-e dil zidgaan
Jaloos-e takht-e Sulaimaantumhain Mubarak ho
61. Ghazaal-e shoaq hai aawara khaten kab say
Ghazaal-e shaoq hai aawara khaten kab say
Azaab-e zeest main hai paiker-e baden kab say
Main jaber-e zaat kay bun main hoon kab say aablapa
Hai taar taar ana ka yeh pairahun kab say
Udaas chahroan peh likhi hooee hai mahroomi
Hai bay charagh diloan ki yeh anjuman kab say
Diya giya hai mujhe apnea ap main bun has
Diyaar-e zaat main phirta hoan bay watan say
Kabhi toh moaja-e aber-e karam idher bhi nazer
Taras raha hai baharoan ko yeh chaman kab say
Kahein hain daar ki batain kahien saleeb ka ziker
Hai dermiyaan hain hee yeh qis-sa-e rasen kab say
Main apni fiker kay zindaan main qaid hoon Tishna
Hai band-e tooqh-o slasel meyra sookhn kab say
62. Erada jab bhi kerta hoon safer ka
Erada jab bhi kerta hoon safer ka
Khiyaal aata hai tayri rahguzer ka
Na thara-aye say thara shehr-e dil main
Woh baasi tha ha jaaney kis nager ka
Koi sooraj muqabil aa giya hai
Shajr sai barh giya saaya shajr ka
Oosi janib rawaan hai shehr saara
Yeh-hee rasta hai shayed tayrey ghar ka
Na tah hum say howa jo zindagi bher
Wo sara faasla tha ik nazer ka
Sabhi hain ajnabi teyri gali main
Pata ab kiss say poochoon apne ghar ka
63. Main bhi tunha tha aur raat bhi thi
Main bhi tunha tha aur raat bhi thi
Too jo aata toh koi baat bhi thi
Woh nazer hum say jo kabhi na mili
Wo nazer jaan-e altafaat bhi thi
Aik pal main badal gayee duniya
Too batah toh koi baat bhi thi
Kiya qiyamat keh tayre ishq kay ssath
Mujh pay pabyndi-e hayat bhi thi
Tha woh jis dam shareek khoolwat-e jaan
Woh ghari shara-e kayenaat bhi thi
Janey kiya ho gaye wo din Tishna
Jab mohabat shareek-e zaat bhi thi